Sad Love Poem in Hindi By A Girl

Tere kareeb aur tujhse door hone ke baad,
Jaha jaha sath chale wo raaste dhoondti hu

Apne hatho ki lakeero me raato ko aksar
Tere hi naam-o-nishaan dhoondti hoon

Likhi ye kisne mobabbat-e-judayi zindagi me
Na jane kab se main tere didaar ko tarasti hu

Zindagi ki raaho me kuch es kadar kho gyi hu
Ke Khud ko hi bhuli or khud ko hi dhundti hu

Share This
0

Diwali Poems in Hindi

Alag alag rango me badalti ye raat nirali hain
Gali gali me log aur charo taraf khushali hain

Huyi hai hasil yu to ronake meri najro ko bhi,
Lekin tu nahi samne to aankhe b khali khali h

Ye innayite teri chahto ke sadke hi to payi hain
K teri hi khusbu, unse mehaki dil ki dali dali h

Kaash intjaar k en najuk lamho me aa jaye tu,
K tere bina lagti badi hi suni suni si ye Diwali h

Share This
0

Sad Love Poems in Hindi

Zindagi kya hai dhuaa hi toh hain
Jo na chaha kabhi wahi toh hua hain
Unke pahlu mei hona toh haasil nahi
Kya hua hain agar jo chua hi toh hain

Humse pucha ye ishq hain bala kon si
Haske bole wo ye ek khuda hi toh hain
Humse pucha sawal-e-talab usne ‘Neer’
Hum to bole ye ishq ek gunah hi to hai

Raate kat ti nahi Din gujarte nahi
Aur kya hai ye bolo saja hi toh hai..

Share This