Home » Rohini Saini
Kabhi aawara panchi ki tarah udda krte the
Aur aaj jaise khuli jail me kedh se ho gaye
Kabhi Raah-e-manjhil khud chuna krte the..
Aaj bina manjil k bhatakte raahi se ho gaye
Ishq ne to zindagi k mayine hi badal diye..
Kabi hum zamane se beparwah hua karte the..
Aaj lakho ki bheed me bhi tanha se ho gaye…
~ rohini
Kahi bhuk se bachpan ko tadapte dekha,
Kahi dhup me nange pavo ko jalte dekha
Kasoor tha unka ya kismat ka khel tha,
Jo Unki khawaisho ko bebasi se marte dekha
~ rohini saini
Mom ki tarah pighalti ja rahi h zindagi,
Kyu es tarah hath se fisal rahi h zindagi
Hum tumhe pana chahte hain
Apne dil mein chupana chahte hain,
Per kyu unchahe sadmo se gujar rahi h zindagi,
Har pal dekhna chahti hai ye nigahe tumhe,
Taras rahi h ujalo me machalne ko zindagi,
Na jane kyu beet rahi h andhero me ye zindagi..
– By Rohini Saini