Logo se kah do humari takdeer se jalna chod de,
Hum ghar se dawa nahi bhagwan ki dua lekar nikalte h
Koi na de hume khush rahne ki dua, to b koi baat nahi
Vaise bhi hum khusiya rakhte nahi, baant diya karte h
Apne karam se wo mera mukaddar bana gya
Ek katre ko pal bhar me samundar bana gya
Phulo se b jyada naram tha kabi dil ye mera,
Jise itna tadpaya ke ab patthar dil bana gaya
Ruthi huyi zindagi ko manana toh aata hain,
Khud na hans sake par auro ko hasana to aata h
Hum khud naa bas sake kisi ke dil me to kya hua
Par logo ko apne dil mein basana toh aata hain
Kab tak wo mera hone se inkaar karega
Khud tut kar wo ik din mjse pyaar karega
Ishq ki aag me main usko itna jala dungi
Ki izhaar wo mjse sar-e-bajaar karega
Badal ki tarah aawara hain hum,
Bhula na paoge jise, wo najara h hum,
Tut k fanah ho jaye, jo apki ek khwahish pe,
Aasman ka wo andekha sitara hain hum
Mohabbat koi chiz nai, jise paise se hasil kiya ja sake
Ishq koi mukaddar nai, jise takdeer pe choda ja sake
Pyar toh ek vishwas hai, bharosa hai, aitbaar hai
Par mohabbat itni aasaan nai ki kisi se b kiya ja sake
Yaad aata hain aksar wo gujra zamana,
Tera miti si aawaz me bhaiya kahkar bulana
Wo subah school ke liye mujko jagana,
Ab kya kare didi yahi h zindagi ka tarana
Na jane meri aankho se kitne ashq beh gaye
Lakho ki bheed me bhi kitne tanha reh gaye
Kiya karte the joh kabi apni hi wafa ki baate
Aaj wahi muje sabke samne bewafa keh gye