Pyar Bhari Shayari on Wafa Ki Roshni

Mere wajood mein wafaa ki roshni utaar de,
Fir itna pyar de ke mujhe chahato se maar de

Bahut udaas hu isliye main tere paas aa gayi,
Kuch aisi baat ker jo dil ko chain-o-qaraar de,

Suna hai teri ek nazar sanwaarti hain zindagi,
Jo ho sake toh aaj meri zindagi sanwar de…!!

Share This